Saturday, 4 May 2013

tanhayi | tanhayi poems | tanhayi shayeri | Infinite Linkz


Tanhayi – Kuch ankahe jazbaat



Hi Guys, I back again with my poem “Tanhayi “ dedicated to all the lovers . Hope so You all will enjoy reading this.http://infinitelinkz.com/tanhayi-kuch-ankahe-jazbaat/



Jab koi sath nahi hota mere,
Jab bilkul tanhayi hoti hai,
Tab tu ajata hai mere pass,
Na pucho kaisi haalat hoti hai.
Aankhain band kroon to tu nazar ata hai har taraf,
kholoon to tera khyal trhpaye hai,
Koi aisa bhi hata hai jiski har pal yaad staye hai,
Na jane kaisi  tanhayi hai jo hmko achi lgti hai,
Tujhse milne ko o jana har pal nazar trsti hai

Na puchna tum hmse kitna tumhe yaad kiya,
Ye kehna bhi to mushkil hai,
humne sab shamon ko teri yaadon mein barbad kiya,
Ab to aisa lgta hai tu dur nhi mere paas hai,
jahan jahan bhi mein dekhoon bs tera ehsaas hai,

majburi


Jab chahe aankhein bnd kroon to tera chehra dikh jata hai,
Aisa bhi hota hai aksar tu dur khrha muskurata hai.


Tu to jane hai tere bin ik pal bhi mujhko chain na aye,
Tu hi btla de fir kyun mujhko tu yoon trhpaye.



————–By Simran




No comments:

Post a Comment